Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu ka martaba

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 Hazrat Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu ka martaba aur mohabbat 🥀*



Part"03

♦️“Hazrat Aboo Umamah Baahili RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hai Ki...
🔸Mujhe Hazrat Amr Bin Abasah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Khabar Dee Ki Mein... 

🧡Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Khidmat-E-Aqdas Me Haazir Huwa, Us Waqt Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam ‘Ukaaz Ke Maqaam Par Tashreef Farma They.
Mein Ne Arz Kiya :
Ya RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam !
Is Din Par Aap Kee (Awwalin) Ittiba’ Kis Ne Kee Hai ?

❤️Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Is Par Meri Ittiba’ Do-02 Mardo’n Ne Kee Hai Aik Aazaad Aur Aik Ghulaam, Woh Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Aur Bilal RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Hain.

🔹Hazrat Amr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Farmate Hain Ki Mein Ne Us Waqt Islam Qubool Kiya Tha.”

👉🏻Is Hadith Ko Imam Hakim Aur Imam Bukhari “At-Tarikh Al-Kabir” Me Riwayat Kiya Hai.

📚📚📚📚📚📚📚
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/69, Raqam-4419,

Bukhari Fi At-Tarikh-ul-Kabir, 06/302, Raqam-2474,

Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/60, Raqam-50
📚📚📚📚📚📚📚
📫to be continue....



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

हजरत अबू बकर सिद्धिक की खास खुसूसियात।

सैय्यदीना सद्दीके अकबर का फैसला गुस्ताखे रसुल ﷺ के लिय क्या था*

9⃣SHANE SIDDIQ-E-AKBARرضي الله عنه ‏