Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu ka martaba
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 Hazrat Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu ka martaba aur mohabbat 🥀*
Part:04
🌹“Umm-ul-Mu’minin Hazrat Aaisah Siddiqua RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Se Riwayat Hai Unhone Bayan Kiya Ki
🧡Jab Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Masjid-E-Aqsa Kee Tarf Seyr Karaayi Gayi To
❤️Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Subah Logo’n Ko Us Ke Baare Bayaan Farmaya To Kuchh To Kuchh Aise Log Bhi Us Ke Munkar Ho Gaye Jo Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Par Imaan Laa Chuke They Aur Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Tasdiq Kar Chuke They.
🔴Woh Daudte Huwe Hazrat Aboo Bakr Siddique RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ke Paas Pahunche Aur Kahne Lage :
Kya Aap Apne Saahib Kee Tasdiq Karte Hain Jo Yeh Gumaan Karte Hain Ki Unhein Aaj Raaj Bayt-il-Maqdas Tak Seyr Karaayi Gayi.
🌹Aap RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya :
Kya Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Yeh Farmaya Hai ?
Unhone Kaha, Haa’n !
To Aap RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya :
Agar Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Yeh Farmaya Hai To Yaqinan Sach Farmaya Hai.
Unhone Kaha :
Kya Aap Un Kee Tasdiq Karte Hain Ki Woh Aaj Raat Bayt-il-Maqdas Tak Gaye Bhi Hain Aur Subah Hone Se Pahle Waapas Bhi Aa Gaye Hain ?
Aap RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Farmaya :
Haa’n !
Mein To Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Tasdiq Us Khabar Ke Baare Me Bhi Karta Hoo’n Jo Is Se Bahut Ziyadah Ba’iyd Az Qiyaas Hai, Mein To Subah-o-Shaam Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Aasmaani Khabro’n Kee Bhi Tasdiq Karta Hoo’n.
Pas Us Tasdiq Kee Wajah Se Hazrat Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu “Al-Siddique” Ke Naam Se Mawsoom Huwe.”
Is Hadith Ko Imam Hakim Aur Imam Abd-ur-Razzaque Ne Riwayat Kiya Hai.
📚📚📚📚📚📚📚
Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/65, Raqam-4407,
Abd-ur-Razzaque Fi Al-Musannaf, 05/328,
Aboo Ya’la Fi Al-Mu’jam, 10/45, Raqam-09,
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 05/307, Raqam-8271,
Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/61, 62, Raqam-51
📚📚📚📚📚📚📚
📫to be continue....
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें