2️ ⃣Khaleefa E Bila Fasl Sayyiduna Siddique E Akber رضى الله تعالی عنہ

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 Khaleefa E Bila Fasl Sayyiduna Siddique E Akber رضى الله تعالی عنہ 🥀* 



                            *[Part : 02]*

 ♦️ *Siddique Ne Kabhi Butt Ko Sajda Na Kiye* 

 🔸 _Siddiq-e-Akbar Ne Kabhi Butt (Statue) Ko Sajda Na Kiya. Chand Baras Ki Umar Mein Aap Ke Baap Khuhafa Aap Ko But Khane Mein Le Gaye Aur Kaha Yeh Hain Tumhare Buland O Baala Khuda, Inhein Sajdah Karo Jab Aap Butt Ke Samne Tashreef Legaye Aur Farmaya Main Bhooka Houn Mujhe Khana De, Mein Nanga Houn Mujhe Kaprda De, Mein Patthar Maarta Houn Agar Tu Khuda Hai To Apne Aap Ko Bacha, Woh Butt Bhala Kiya Jawaab Deta. Aap Ne aik Patthar Uss Ko Mara Jis Ke Lagte Hi Woh Gir Pada Aur Quwwat E Khudadad Ki Taab Naa Laa Saka Baap Ne Ye Haalat Dekhi Unhein Ghussa Aaya, Unhon Ne Aik Thappard Rukhsaar E Mubarak Par Maara Aur Wahan Se Aap Maa Ke Paas Laaye, Sara Waqi’ah Bayan Kiya Maa Ne Kaha Ise Is Ke Haal Par Chord Do Jab Yeh Paida Huwa Tha To Ghaib Se Aawaz Aayi Thi Keh_

 *يَا اَمَةَ اللّٰهِ بِالتّّحقِيْق ابْشِرِيْ بِالْوَلدِ العَتِيْقِ إسْمُهُ فِي السَّمّاءِ الصِدِّيْقُ لمحمد صاحبٌ وَ رَفِيْقٌ*

 *Aye Allah Ki Sachchi bandi Tujhe khush Khabri ho Yeh bacha ‘Ateeq Ateeq aasmanon may Is Ka Naam Siddique Hai Muhammad ﷺ Ka Sahib Aur Rafeeq Hai.*

🔸 _Yeh Riwayat Siddiq E Akba رضی اللّٰہ تعالٰی عنہ Khud Majlis E Aqdas Mein Bayan Ki Jab Yeh Bayan Kar Chuke To Jibreel E Ameen Haazir E Bargah Huwe Aur Arz Ki_

     *صَدَقَ ابُو بَكرٍ وَهُوَ صِدِّيْقٌ*

*Abu Bakr Ne Such Kaha Aur Woh Siddique Hain* 
 ```Ye Hadees Imam Ahmad Qastalani رحمہ اللّٰہ القوی Ne Sharah Saheeh Bukhari Mein Zikr Ki```

📚 *حوالہ :*
ارشاد الساری شرح صحیح البخاری، جلد : 8، صفحہ : 370.
ملفوظات اعلی حضرت، حصہ : 4، صفحہ : 60-61.




👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
https://chat.whatsapp.com/CoTrYIar9XdB3OW6o2jeiX

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

हजरत अबू बकर सिद्धिक की खास खुसूसियात।

सैय्यदीना सद्दीके अकबर का फैसला गुस्ताखे रसुल ﷺ के लिय क्या था*

9⃣SHANE SIDDIQ-E-AKBARرضي الله عنه ‏