1️⃣9️⃣SHANE SIDDIQ-E-AKBARرضي الله عنه 🥀*

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



   *🥀 SHANE SIDDIQ-E-AKBARرضي الله عنه 🥀*



*POST NO - 19:*

*📚HADEES:*
IMAM HAKIM NE AL MUSTADRAK, VOL-6, PG NO-398.

Allah Ke Rasool ﷺ Ne Ek Martaba Hazrat Hassan Bin Sabit رضي الله عنه Se Farmaya Ke Tumne Bade Bade Qaseede Likhe Hai Aur Meri Naat Ke Ashaar Tum Badi Mohabbat Se Likhte Ho. Aye Hassan! Kya Tumne Hazrat Abu Bakar Siddiq رضي الله عنه Ke Baare Me Bhi Koi Qaseeda Likha Hai? Toh Hazrat Hassan رضي الله عنه Ne Jawab Diya, Ya Rasoollallah ﷺ! Maine Hazrat Abu Bakar Siddiq رضي الله عنه Ki Shaan Me Bhi Ek Qaseeda Likha Hai.

Allah Ke Rasool ﷺ Ne Farmaya Aye Hassan! Agar Tumne Qaseeda Likha Hai Toh Sahaba-e-Ikraam Ke Is Ijtema Me Woh Qaseeda Suna Do. Fir Hazrat Hassan Bin Sabit رضي الله عنه Ne Allah Ke Rasool ﷺ Ki Sadarat Me Hazrat Abu Bakar Siddiq رضي الله عنه Ki Shaan Aur Unki Fazeelat Me Qaseeda Padhkar Sunaya. Jiska Matlah Yeh Tha.
_"Jis Waqt Kisi Sacche Mehboob Ki Yaad Tujhe Sataye Toh Us Waqt Hazrat Abu Bakar Siddiq رضي الله عنه Ki Jo Rasoollallah ﷺ Ke Saath Mohabbat Me Qurbaniya Hai Aur Jo Raahe Islam Me Unki Fidakariya Hai, Use Yaad Karlena."_

📚MUSANNAF IBNE ABI SHAIBA, VOL-14, PG NO-222.



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

हजरत अबू बकर सिद्धिक की खास खुसूसियात।

सैय्यदीना सद्दीके अकबर का फैसला गुस्ताखे रसुल ﷺ के लिय क्या था*

9⃣SHANE SIDDIQ-E-AKBARرضي الله عنه ‏