1️⃣8️⃣SHANE SIDDIQ-E-AKBARرضي الله عنه 🥀*

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



   *🥀 SHANE SIDDIQ-E-AKBARرضي الله عنه 🥀*



*POST NO - 18:*

*📚HADEES:*
MUSLIM SHAREEF, KITABUZ ZAKAAT, HADEES NO-1707.

Ek Martaba Allah Ke Rasool ﷺ Ne Saare Sahaba-e-Ikraam Ke Majme Me Irshad Farmaya Tumme Kaun Hai Jisne Aaj Roza Rakha Ho. Saare Sahaba Khamosh Rahe Fir Kuch Dair Baad Hazrat Abu Bakar Siddiq رضي الله عنه Ne Kaha Maine Rakha Hai Ya Rasoollallah ﷺ.

Fir Rasoollallah ﷺ Ne Pucha Ke Tumme Kaun Hai Jisne Aaj Janaze Me Shirkat Ki Ho. Hazrat Abu Bakar Siddiq رضي الله عنه Ne Arz Ki Maine Aaj Janaze Me Shirkat Ki Hai. 

Fir Rasoollallah ﷺ Ne Pucha Ke Aaj Kisne Miskeen Ko Khana Khilaya Hai. Toh Hazrat Abu Bakar Siddiq رضي الله عنه Ne Kaha Maine Aaj Miskeen Ko Khana Khilaya Hai. 

Fir Rasoollallah ﷺ Ne Pucha Ke Kisne Aaj Mariz Ki Iyadat Ki Hai Toh Hazrat Abu Bakar Siddiq رضي الله عنه Ne Arz Ki Maine Aaj Mariz Ki Iyadat Ki Hai. 

Fir Rasoollallah ﷺ Ne Irshad Farmaya Ke Jis Shaks Me Yeh Saari Baate Jama Ho Woh Yaqinan Jannati Insaan Hai. Jannat Me Meri Ummat Ke Zahid Hoge, Aabid Hoge, Sauleheen Hoge, Shohada Hoge, Bade Bade Muttaqi Hoge Magar Abu Bakar رضي الله عنه Woh Hai Jinko Allah ﷻ Ne Al-Itqa Farmaya.

Allah ﷻ Ne Sabse Zyada Muttaqi Hazrat Abu Bakar Siddiq رضي الله عنه Ko Banaya Hai. Aye Abu Bakar رضي الله عنه Iska Sila Yeh Hai Ke Meri Ummat Me Sabse Pehle Jannat Me Tum Tashreef Le Jaoge.



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

हजरत अबू बकर सिद्धिक की खास खुसूसियात।

सैय्यदीना सद्दीके अकबर का फैसला गुस्ताखे रसुल ﷺ के लिय क्या था*

9⃣SHANE SIDDIQ-E-AKBARرضي الله عنه ‏