2️⃣2️⃣SHANE SIDDIQ-E-AKBARرضي الله عنه 🥀*

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



   *🥀 SHANE SIDDIQ-E-AKBARرضي الله عنه 🥀*



*LAST POST NO - 22:*

*📚HADEES:*
BUKHARI SHAREEF, VOL-4, PG NO-480, HADEES NO-7,220.

Ek Martaba Ek Aurat Ne Baargahe Risalat ﷺ Me Haazir Hokar Apna Maamla Arz Kiya. Jispar Use Dobara Haazir Hone Ka Hukm Hua. Toh Us Aurat Ne Wisaale Zaahiri Ki Taraf Ishaara Karte Hue Arz Kiya Ya Rasoollallah ﷺ! Agar Mai Aaoo Aur Aapko Na Paoo Toh Kya Karu?

Allah Ke Nabi ﷺ Ne Irshaad Farmaya Agar Tum Mujhe Na Pao Toh Hazrat Abu Bakar Siddiq رضي الله عنه Ke Paas Aana.

*📚HADEES:*
TIRMIZI SHAREEF, VOL-5, PG NO-374, HADEES NO-3,682.

Allah Ke Rasool ﷺ Ne Farmaya Mere Baad Hazrat Abu Bakar رضي الله عنه Wa Hazrat Umar رضي الله عنه Ki Pairwi Karna.

*📚HADEES:*
TIRMIZI SHAREEF, VOL-5, PG NO-382, HADEES NO-3,700.

Allah Ke Rasool ﷺ Farmate Hai Har Nabi Ke 2 Wazeer Aasman Waalo Me Se Aur 2 Wazeer Zameen Waalo Me Se Hote Hai. Aasman Waalo Me Se Mere Wazeer Jibrael Wa Mikael Hai Jabke Zameen Waalo Me Se Mere Wazeer Abu Bakar رضي الله عنه Wa Umar رضي الله عنه Hai.

*📚HADEES:*
TIRMIZI SHAREEF, VOL-5, PG NO-378, HADEES NO-3,691.

Ek Martaba Allah Ke Rasool ﷺ Ne Hazrat Abu Bakar رضي الله عنه Wa Hazrat Umar رضي الله عنه Ko Dekhkar Irshad Farmaya Yeh Dono Kaan Aur Aankh Ki Misl Hai.

*📚HADEES:*
TIRMIZI SHAREEF, VOL-5, PG NO- 388, HADEES NO-3,712.

Allah Ke Rasool ﷺ Ne Farmaya Sabse Pehle Mai Apni Kabr Se Bahar Niklunga Uske Baad Hazrat Abu Bakar Siddiq رضي الله عنه Aur Fir Hazrat Umar رضي الله عنه.

*✔️ENDING*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

हजरत अबू बकर सिद्धिक की खास खुसूसियात।

सैय्यदीना सद्दीके अकबर का फैसला गुस्ताखे रसुल ﷺ के लिय क्या था*

9⃣SHANE SIDDIQ-E-AKBARرضي الله عنه ‏