1️⃣2️⃣SHANE SIDDIQ-E-AKBARرضي الله عنه ‏

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



   *🥀 SHANE SIDDIQ-E-AKBARرضي الله عنه 🥀*



*POST NO - 12:*

*HADEES:*
BUKHARI SHAREEF, VOL-1, PG NO-386, KITABUL AZAAN, HADEES NO-680 & 681.

Hazrat Anas Bin Malik رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ke Allah Ke Nabi ﷺ Ki Bimari Ke Waqt Hazrat Abu Bakar Siddiq رضي الله عنه Namaz Padhate The. Woh Peer Ka Din Tha Jab Log Namaz Me Saf Bandhe Khade Hue The, Toh Allah Ke Rasool ﷺ Ne Apne Hujre Mubarak Se Parda Hataya Aur Hamari Taraf Dekh Rahe The. Aapka Chehraye Mubarak Goya Mushaaf Ka Waraq Tha. 

Allah Ke Nabi ﷺ Muskura Rahe The Hume Itni Khushi Hui Ke Khatra Hogaya Ke Kahi Hum Sab Allah Ke Nabi ﷺ Ko Dekhne Me Hi Na Mashgul Ho Jaye Aur Namaz Tod De. Hazrat Abu Bakar Siddiq رضي الله عنه Piche Hatke Saf Ke Saath Aa Milna Chahte The. Woh Samjhe Ke Rasoollallah ﷺ Namaz Ke Liye Tashreef La Rahe Hai. Lekin Allah Ke Rasool ﷺ Ne Ishara Farmaya Ke Namaz Poori Karlo Fir Allah Ke Rasool ﷺ Ne Parda Daal Diya Aur Usi Din Allah Ke Rasool ﷺ Parda Farma Gaye.

BUKHARI SHAREEF, HADEES NO-704, 1205 & 4,448.

MUSLIM SHAREEF, VOL-1, PG NO-534, KITABUS SALAT, HADEES NO-944 & 419.

NASAI SHAREEF, KITABUL JANAIZ, BAAB PEER KE DIN WISAAL HONE KA BAYAN, HADEES NO-1,831.

IBNE MAAJA, KITABUL JANAIZ, HADEES NO-1,624.



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
https://chat.whatsapp.com/BlTnmJKrHakLQ0Y3Q9Q1KC

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

हजरत अबू बकर सिद्धिक की खास खुसूसियात।

सैय्यदीना सद्दीके अकबर का फैसला गुस्ताखे रसुल ﷺ के लिय क्या था*

9⃣SHANE SIDDIQ-E-AKBARرضي الله عنه ‏