1️⃣5️⃣SHANE SIDDIQ-E-AKBARرضي الله عنه

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁



   *🥀 SHANE SIDDIQ-E-AKBARرضي الله عنه 🥀*



*POST NO - 15:*

*📚HADEES:*
MUSNADE BAZZAR, VOL-1, PG NO-444.

Ek Martaba Hazrat Ali رضي الله عنه Ne Apne Dosto Se Pucha Ke Saare Logo Me Sabse Zyada Bahadur Kaun Hai? Toh Aapke Paas Baithne Waalo Ne Kaha Aye Ameerul Momineen Woh Aap Hi Hai. Toh Hazrat Ali رضي الله عنه Ne Irshad Farmaya Ke Isme Koi Shak Nahi Maine Jisse Bhi Muqabla Kiya Usko Maine Pachaad Diya, Lekin Tum Mujhe Yeh Batao Ke Logo Me Sabse Zyada Bahadur Kaun Hai? Toh Logo Ne Kaha Fir Hame Malum Nahi Woh Kaun Hai?

Toh Hazrat Ali رضي الله عنه Ne Farmaya Ke Woh Hazrat Abu Bakar Siddiq رضي الله عنه Hai. Saare Logo Me Shujah Abu Bakar Siddiq رضي الله عنه Hai. Jab Aapke Dosto Ne Daleel Puchi Toh Hazrat Ali رضي الله عنه Ne Farmaya Ke Jab Jange Badr Ke Din Rasoollallah ﷺ Ke Khaime Ki Hifazat Ka Waqt Aaya Toh Yeh Aelaan Hua Ke Kaun Pehra Dega? Khuda ﷻ Ki Kasam Koi Bhi Aage Nahi Bada Tha Magar Pehle Number Par Hazrat Abu Bakar Siddiq رضي الله عنه Aage Bade.

Hazrat Abu Bakar Siddiq رضي الله عنه Talwar Lehrate Hue Khaime Ke Paas Khade Ho Gaye, Logo Ne Dekha Ke Jis Taraf Se Bhi Koi Yahudi Aata To Us Taraf Seena Kar Lete Chashm-e-Fala Ne Dekha Ke Jis Taraf Se Teer Aata Tha Hazrat Abu Bakar Siddiq رضي الله عنه Apna Seena Aage Kar Lete Apne Baazu Pe Sab Jhel Lete The Magar Rasoollallah ﷺ Par Zarra Barabar Bhi Aanch Na Aane Dete The.



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

हजरत अबू बकर सिद्धिक की खास खुसूसियात।

सैय्यदीना सद्दीके अकबर का फैसला गुस्ताखे रसुल ﷺ के लिय क्या था*

9⃣SHANE SIDDIQ-E-AKBARرضي الله عنه ‏