1️⃣3️⃣SHANE SIDDIQ-E-AKBARرضي الله عنه

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



   *🥀 SHANE SIDDIQ-E-AKBARرضي الله عنه 🥀*



*POST NO - 13:*

*HADEES:*
📚MISHKAAT SHAREEF, VOL-2, PG NO-423, HADEES NO-6,068. 

Hazrat Ayesha Siddiqa رضی اللہ تعالیٰ عنہا Ka Bayan Hai Ek Chandni Raat Me Jab Allah Ke Rasool ﷺ Meri Godh Me Sar Rakhe Aaram Farma The, Maine Arz Kiya Ya Rasoollallah ﷺ! Kya Kisi Ki Nekiya Aasman Ke Sitaro Ke Barabar Hai? Allah Ke Rasool ﷺ Ne Irshad Farmaya Ha, Hazrat Umar رضي الله عنه Ki Nekiya Aasman Ke Sitaro Ke Barabar Hai. 

Ummul Momineen Hazrat Ayesha Siddiqa رضی اللہ تعالیٰ عنہا Kehti Hai Maine Dobara Arz Kiya Ya Rasoollallah ﷺ! Mere Waalid Hazrat Abu Bakar Siddiq رضي الله عنه Ki Nekiyo Ka Kya Haal Hai? Allah Ke Rasool ﷺ Ne Irshad Farmaya Hazrat Umar رضي الله عنه Ki Tamaam Nekiya Hazrat Abu Bakar Siddiq رضي الله عنه Ki Nekiyo Me Se Ek Neki Ki Misl Hai. 



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
https://chat.whatsapp.com/BlTnmJKrHakLQ0Y3Q9Q1KC

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

हजरत अबू बकर सिद्धिक की खास खुसूसियात।

सैय्यदीना सद्दीके अकबर का फैसला गुस्ताखे रसुल ﷺ के लिय क्या था*

9⃣SHANE SIDDIQ-E-AKBARرضي الله عنه ‏