7⃣SHANE SIDDIQ-E-AKBARرضي الله عنه ‏

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



   *🥀 SHANE SIDDIQ-E-AKBARرضي الله عنه 🥀*



*POST NO - 7:*

*HADEES:*
📚TIRMIZI SHAREEF, VOL-5, PG NO-609, HADEES NO-3,661.

Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ke Allah Ke Nabi ﷺ Ne Farmaya Kisi Ka Bhi Hamare Upar Koi Aisa Ehsaan Nahi Jiska Humne Badla Chuka Na Diya Ho, Siwaye Abu Bakar Siddiq رضي الله عنه Ke. Beshak Unke Hamare Upar Ehsaan Hai Jinka Badla Allah ﷻ Qayamat Ke Din Chukayega.

*HADEES:*
📚IBNE MAAJA, KITABUS SUNNAH, VOL-1, PG NO-34, HADEES NO-94.

Hazrat Abu Hurraira رضي الله عنه Se Marwi Hai Ke Allah Ke Nabi ﷺ Ne Irshad Farmaya Mujhe Kisi Ke Maal Ne Itna Nafa Nahi Pohchaya Jitna Abu Bakar Siddiq رضي الله عنه Ke Maal Ne Pohchaya Hai. Yeh Sunkar Hazrat Abu Bakar Siddiq رضي الله عنه Rone Lage Aur Kaha Ya Rasoollallah ﷺ! Meri Jaan Aur Maal Ke Maalik Aap Hi Toh Hai.

*HADEES:*
📚BUKHARI SHAREEF, KITABUS SALAAT, HADEES NO-466.

Hazrat Abu Saeed Khudri رضي الله عنه Se Riwayat Hai Ke Allah Ke Nabi ﷺ Ne Farmaya Tamam Logo Me Sabse Zyada Mujh Par Abu Bakar Siddiq رضي الله عنه Ka Ehsaan Hai, Maal Ka Bhi Aur Hum Nashini Ka Bhi.

📚BUKHARI SHAREEF, KITAB FAZAIL-E-SAHABA, HADEES NO-3,654.



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
https://chat.whatsapp.com/BlTnmJKrHakLQ0Y3Q9Q1KC

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

हजरत अबू बकर सिद्धिक की खास खुसूसियात।

सैय्यदीना सद्दीके अकबर का फैसला गुस्ताखे रसुल ﷺ के लिय क्या था*

9⃣SHANE SIDDIQ-E-AKBARرضي الله عنه ‏